mere jaisa is duniya mein ho sakta hai kaun jaise main ne khud ko dhoya dho sakta hai kaun dhul jate hain ek din aakhir jaise bhi hon dagh man ka mail aur maili chadar dho sakta hai kaun pura chand aur jagmag tare yaadon ki baraat is mausam mein makhmal par bhi so sakta hai kaun khwabon ki ek basti jis mein sab hon khush-auqat is basti ko aasani se kho sakta hai kaun mitti ka pani se rishta shayad hai kamzor warna kisht-e-jaan mein kante bo sakta hai kaun