kuchh hai jo ye guman na hota to thik tha sar par ye aasman na hota to thik tha achchha tha gar zamin na hoti jahan mein ya phir koi jahan na hota to thik tha insan mehman hai do-chaar roz ka us par ye imtihan na hota to thik tha apni talash mein to na phirta idhar-udhar itna bada makan na hota to thik tha tujh se mera muamla hota ba-rah-e-rast ye ishq darmiyan na hota to thik tha kaisa ajib hai ki main hun bhi nahin bhi hun mera kahin nishan na hota to thik tha