mere jazbaat-e-rangin ki farawani nahin jati ki aankhon se tere jalwe ki tabani nahin jati farogh-e-husn hai ya meri nazron ki ye khami hai ba-har-surat teri taswir pahchani nahin jati mohabbat aap ki dil se bhula dun kis tarah kyun kar ba-mushkil shai jo aai ho ba-asani nahin jati kahan tu khinch laya ai mazaq-e-ashiqi mujh ko jahan mujh se meri taswir pahchani nahin jati mujhe tark-e-talluq par na kar majbur ai naseh khilaf-e-aql koi baat ho mani nahin jati tumhaare jaur-e-behad ne ye bakhsha hai sharaf mujh ko shikast-e-dil ki bhi aawaz pahchani nahin jati koi 'sabir' se diwane ko samjhae bhala kyun kar parastar-e-junun ki chaak-damani nahin jati