sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae chaman mein khilte hue jab se phul mare gae hawa-e-maut zara der kya idhar aai ki mere hath se ud kar mere ghubare gae ye kaisi karbala barpa hui peshawar mein lahu mein dube hue mere bachche mare gae unhen hi martaba milta hai ja ke jannat mein husul-e-ilm ki khatir jo jaan ware gae chaman ujadne walo tumhein khuda samjhe tumhein na aai haya phul to hamare gae rahega yaad hamein aane wali naslon tak wo naqsh-e-pa jo yahan khun se ubhaare gae salam mera 'azim' un shahid bachchon ko jo apni jit ki khatir bhi jaan haare gae