mere kahne se to dil un par mera aaya na tha aaine ko main ne khud patthar se takraya na tha jo hua jo kuchh hua meri khata mera qusur tod kar ahd-e-wafa kya wo bhi pachhtaya na tha main ne dekhi hai amir-e-shahr ki wo muflisi daulat-e-duniya thi lekin gham ka sarmaya na tha hum ne socha ab faraaz-e-dar se dekhen use zindagani ka koi manzar hamein bhaya na tha tujh ko hi maqsud thi apne liye kuchh bandagi warna aadam ne teri jannat ko thukraya na tha