mere kamre mein puri chandni hai faqat teri kami baqi rahi hai main sahra mein tasalli se rahunga musalsal tishnagi hi tishnagi hai khamoshi odh kar baithe hain sab ped ye barish aaj kitni khushk si hai hawa aai hai kis duniya se ho kar har ek tahni shajar ki kanpti hai abhi to sardiyon ka daur hoga faza rona tha jitna ro chuki hai main har dipak bujhata ja raha hun meri duniya mein itni raushni hai daricha ab nahin khulta tumhaara nazar lekin kisi ki manti hai wo jo hassas ladka mar gaya tha ab us ka shauq kewal shairi hai kabhi thahra nahin phulon ka mausam dilon ka tut jaana qudrati hai