mere kheme khasta-haal mein hain mere raste dhund ke jal mein hain mujhe sham hui hai jangal mein mere sare sitare zawal mein hain mujhe rangon se koi shaghl nahin mujhe khushbu mein koi dakhl nahin mere nam ka koi nakhl nahin mere mausam khak-e-malal mein hain aakash hai qadmon ke niche dariya ka pani sar par hai ek machhli naw pe baithi hai aur sab machhuware jal mein hain ye duniya akbar zulmon ki hum majburi ki anarkali hum diwaron ke bich mein hain hum nargha-e-jabr-o-jalal mein hain mere dil ke nur se badh ke nahin meri jaan ke surur se badh ke nahin jo mah o mehr falak par hain jo lal o guhar patal mein hain ek maghrib aaya mashriq mein meri fauj ke tukde kar dale ab aadhe sipahi junub mein hain aur aadhe sipahi shumal mein hain iman ki chhagal phut gai aamal ki lathi tut gai hum aise gallabanon ke sab naqe khauf-e-qital mein hain