mere ashaar tamawwuj pe jo aae hue hain aab hairat se ye mazmun uthae hue hain shokhiyan kaam na aain to haya dhar legi us ne aankhon ko kai daw sikhae hue hain kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi kuchh sitare mere sine mein samae hue hain ab wo insan kahan jin se farishte sharmaen hum to insan ka bas bhes banae hue hain ghair ko jama karo dushman-e-jaan ko bulwao dosto hum kisi apne ke satae hue hain