mere khuda kisi surat use mila mujh se mere wajud ka hissa na rakh juda mujh se wo na-samajh mujhe patthar samajh ke chhod gaya wo chahta to sitare tarashta mujh se us ek khat ne sukhnawar bana diya mujh ko wo ek khat ki jo likkha nahin gaya mujh se use hi sath gawara na tha mera warna kise majal koi us ko chhinta mujh se abhi visal ke zakhmon se khun rista hai abhi khafa hai mohabbat ka dewta mujh se hai aarzu ki palat jaun aasman ki taraf mizaj ahl-e-zamin ka nahin mila mujh se khata ke baad ajab kashmakash rahi 'shahid' khata se main raha sharminda aur khata mujh se