pas mein rah ke nigahon se bachae rakhna apne dukh-dard ko apnon se chhupae rakhna hum guda-bhag ghata-jod nahin kar pate apni aadat mein hai rishton ko nibhae rakhna khud ko khud se hi chhupane ka tariqa hai ye apni baaton mein sada khud ko lagae rakhna pyas jab hath uthae to na khali jae baadalo itni to ummid jagae rakhna aandhiyon se kabhi bujhti nahin ummid ki lau yun hi ehsas ke dipak ko jalae rakhna kuchh bhale log kahani ki tarah milte hain dukh kisi ka bhi ho kandhe pe uthae rakhna