mere khuda mujhe wo tab-e-nai-nawai de main chup rahun bhi to naghma mera sunai de gada-e-ku-e-sukhan aur tujh se kya mange yahi ki mamlikat-e-sher ki khudai de nigah-e-dahr mein ahl-e-kamal hum bhi hon jo likh rahe hain wo duniya agar dikhai de chhalak na jaun kahin main wajud se apne hunar diya hai to phir zarf-e-kibriyai de mujhe kamal-e-sukhan se nawazne wale samaaton ko bhi ab zauq-e-ashnai de numu-pazir hai ye shola-e-nawa to ise har aane wale zamane ki peshwai de koi kare to kahan tak kare masihai ki ek zakhm bhare dusra duhai de main ek se kisi mausam mein rah nahin sakta kabhi visal kabhi hijr se rihai de jo ek khwab ka nashsha ho kam to aankhon ko hazar khwab de aur jurat-e-rasai de