mere khush rahne se us ko kuchh pareshani na thi us ko zinda dekh kar mujh ko bhi hairani na thi do thake-haare dilon ne ek nadi par raat ki thi magar jazbon mein wo pahli si tughyani na thi ruk gaya tha wo mere hujre mein jaane kis liye aasman shaffaf tha aur raat tufani na thi tegh-zan ko war se pahchan leta tha hadaf lafz ki ijad se pahle rajaz-khwani na thi rafta rafta qahqahon ke rang phike pad gae hont the sarsabz lekin wo hansi dhani na thi ek se diwar-o-dar ko dekhna tha umr bhar apni aankhon ke muqaddar mein jahanbani na thi waqt mahnga ho raha tha lafz bhi kamyab the shairon ko khwab bunne mein bhi aasani na thi