ai dard na tham sar aur utha dil chaaragari ki rah na tak dekh ashk-fishan hai ab tujh par sahraon mein diwana tak tum laut chuke ho gar to kaho ya baqi hai arman abhi pahle hi tumhein hum de baithe hain jaan ka ye nazrana tak sahra mein base sab diwane shahron mein bhi mahshar hai barpa allah teri is khilqat se baqi na raha virana tak timsal pe khun-e-nahaq bhi aur aatish-e-zulm-o-jaur bhi hai dubi hui chashm-e-shauq bhi hai khush-rang rukh-e-jaanana tak khidki darwaze band karo masnad bhi sameto ai logo mutrib bhi gae shamen bhi bujhin aur khatm hua afsana tak