mere lab par koi dua hi nahin is karam ki kuchh intiha hi nahin kashti-e-e'tibar tod ke dekh ki khuda bhi hai na-khuda hi nahin meri hasti gawah hai ki mujhe tu kisi waqt bhulta hi nahin ab use na-ummid kyun kahiye dil ko taufiq-e-muddaa hi nahin gham mein lazzat kahan ki dil na raha hae wo hasrat-ashna hi nahin wahi tu hai wahi teri mahfil ek 'fani'-e-mubtala hi nahin