mabad-e-zist mein but ki misal jade honge ye nanhe bachche jis roz bade honge itne dukhi is darja udas jo sae hain raat ke dasht mein tez hawa se lade honge dhup ke qahr ki lazzat ke shaidai hain ye ashjar bhi khwab se chaunk pade honge hum ko khala ki wusat se fursat na mili lakh khazane is dharti mein gade honge wo din hoga aakhiri din hum sab ke liye aaina dekhne jab hum log khade honge