mere lab pe hansi agar aai

mere lab pe hansi agar aai
to faqat apne haal par aai

dastan-e-hayat likkhunga
zabt-e-tahrir mein agar aai

be-khudi ne ye moajiza bhi kiya
chhodne mujh ko mere ghar aai

qabil-e-did the maqam sabhi
jin se ye zindagi guzar aai

meri khatir ye rahmat-e-yazdan
us bulandi se kyon utar aai

hum na sajde se sar uthaenge
baat banti agar nazar aai

hech samjha tha hum ne duniya ko
ye bhi tohmat hamare sar aai

maut hi ke liye sahi 'rahat'
ek dua to zaban par aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close