rakhiye zaban-e-Khaar hamari zaban ke sath

rakhiye zaban-e-khar hamari zaban ke sath
is ka bayan milega hamare bayan ke sath

kya jaanen kyon hamari yaqin se na nibh saki
hum aaj tak nibah rahe hain guman ke sath

ek ek bhed khol ke chhodenge us ka hum
ab zid si ho gai hai hamein aasman ke sath

lagta hai jaise baat koi besh-o-kam ki hai
phir aaj shaikh uljhe hain pir-e-mughan ke sath

sikhenge kis se par utarne ka aap fan
hum ne to bandh rakkhe hain patthar zaban ke sath

wo to suluk karta raha hai bura-bhala
hum bhi bigad baithe hain yaro jahan ke sath

be-lutf aisi ho gai 'rahat' ye zindagi
jaise bigad gai ho kisi meherban ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close