mere lafzon par na ja aaraish-e-guftar dekh raushni kya dekhta hai shoala-e-afkar dekh be-sabab hai khar-o-khas par hi nazar rakhne ki baat dawat-e-nazzargi deta hua gulzar dekh ab to is ghar ke liye taza hawa ke sath sath raushni bhi laegi girti hui diwar dekh is khandar par ek nai basti basai jaegi dekh mat aasar ka manzar pas-e-asar dekh har ghadi ki sadgi se kaam chal sakta nahin maslahat se dal dete hain kabhi talwar dekh