use jine ka lalach hai na wo marne se darta hai to kya ye shakhs bhi gum-namiyon ki maut marta hai ajab virani-e-dil hai sisakta hai wahan koi ab aise bahr-e-tanhai se wo kis par utarta hai wahan kis ki nazar jati hai ek do chaar kanton par jahan ek ped jo phulon ke gahnon se sanwarta hai hisar-e-lams ki lazzat mein khoya hai badan us ka ye qaidi kya kabhi is jal se bach kar guzarta hai ajab hai ek sang-e-be-nawa si dosti us ki na ye is se mukarta hai na wo us ko akharta hai wo barg-e-be-shajar apne qabile se juda ho kar hawaon ke thapedon se larazta aur bikharta hai abhi tak to sag-e-izhaar wo mujh par nahin chhoda meri aaraish-e-guftar ke nashtar se darta hai ye mushkil baat bhi lekin bada aasan nuskha bhi nahin nafrat kisi se bhi sabhi se pyar karta hai