mere lahu ki sarshaari kya us ki faza bhi kitni der tere kaf-e-nazuk pe rahega rang-e-hina bhi kitni der us ki nazar ki halki si jumbish kya kya jauhar rakhti hai la sakta hai tab-e-tamasha aaina bhi kitni der ab ke wasl ka mausam yunhi bechaini mein bit gaya us ke honton par chahat ka phul khila bhi kitni der koi takallum koi ishaara koi aahat pas nahin zinda rahe virana-e-jaan mein dil ki sada bhi kitni der bikhra din atraf-e-junun mein kaisi kaisi khushbuen kucha-e-yar mein thahri hogi baad-e-saba bhi kitni der mere dil mein gahrai tak zakhm hain andhi khwahish ke aur abhi honton pe rahega zahr-e-dua bhi kitni der apni ek ada rakhti hai us ke baad ki gudazi bhi kuchh to socho us pe chalega sehr-e-qaba bhi kitni der aage dhund hai be-samti ki pichhe ghubar-e-gum-shudagi mere sar mein sath rahegi meri ana bhi kitni der us ke taghaful ka bhi bharam rakh us se itni chhed na kar 'ramz' barasti hai be-mausam koi ghata bhi kitni der