kashish to ab bhi ghazab ki hai nazninon mein magar wo chand chamakta nahin jabinon mein ye sab ke chehron mein yaksaniyat si kaisi hai hasin-tar koi jachta nahin hasinon mein jo mere zehn mein thi sabza-zar khwab mein thi kahan wo fasl ugai gai zaminon mein shuur-e-umr se afzun hui hai umr-e-shuur hamare sal guzarne lage mahinon mein zaban se roz main taid-e-izn karta hun chhupe hain but bhi magar meri aastinon mein numaishen na furui takallufat yahan kahan tum aa gae hum boriya-nashinon mein ba-juz tumhaare nahin koi khanqahi ab main kis ka nam likhun apne nukta-chinon mein