mere lahu ki tamazat hai aur akela main andheri shab ki masafat hai aur akela main mere qabile mein bhi sach ka qatl hota hai wahi purani riwayat hai aur akela main nae shuur ka insan mujh mein zinda hai zamane bhar ki malamat hai aur akela main main apni jang mein nakaam ho nahin sakta mere khayal ki taqat hai aur akela main talash ka ye safar itna sahl bhi to nahin koi bala koi dahshat hai aur akela main meri ghazal ye mera fan ye shaeri 'shaukat' nae dinon ki bashaarat hai aur akela main