mere liye hazar kare ehtimam hirs

mere liye hazar kare ehtimam hirs
main wo hon mujh pe dal sakegi na dam hirs

hai kuchh na kuchh har aadmi ko la-kalam hirs
lekin na is qadar ki bana le ghulam hirs

ai zulf phail phail ke rukhsar ko na dhank
kar nim-roz ki na shah-e-mulk-e-sham hirs

waiz sharab-o-hur ki ulfat mein gharq hai
hai sar se panw tak ye sitam-gar tamam hirs

dil chhin aashiqon ke magar hoshiyar rah
aisa na ho ki dil ko bana le ghulam hirs

naqis rahenge sare talawwun se karobar
karne na degi tujh ko yahan koi kaam hirs

qabza uthaegi na dil-e-rozgar se
jab tak na zindagi ka kare ikhtitam hirs

muddat se ishtiyaq hai bos-o-kanar ka
gar hukm ho shurua kare apna kaam hirs

'parwin' lagi hui hai khuda se mujhe umid
dil ko mere banae na apna ghulam hirs


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close