wo tanha tha to phir tanhai ka dam-saz hona tha un aankhon ke liye mujh ko sitara-saz hona tha sabhi khamosh the aawaz par us ki so aise mein mujhe chup to nahin rahna tha ham-awaz hona tha jo dil mein tha wo ek viran gumbad hi mein kah deta ye mera ahd tha mujh ko asar-andaz hona tha mere lab par zamane ki shikayat kis liye aai agar ye shor tha to us ko be-awaz hona tha na jaane mujh se kitne log the jo sochte ye the ki in se ek nai tarikh ka aaghaz hona tha jahan zakhmi tamannaon ki sarhad khatm hoti thi wahan se ek nai ummid ka aaghaz hona tha ye kar-e-ishq tha 'ashfaq' mujh se ho nahin paya mujhe bhi shairi mein sahib-e-ejaz hona tha