mere liye tera hona aham ziyaada hai ye baqi zikr-e-wajud-o-adam ziyaada hai wo khali-pan hai kahin kuchh kashish nahin hai mujhe koi khushi hai bahut aur na gham ziyaada hai tere baghair zarurat hi kiya padi hai mujhe tere baghair ye dam hai so dam ziyaada hai ye meri aankh hai yan khwab kaise thahrenge ki sim-khurda zamin hai jo nam ziyaada hai mera ye dil ki jise koi pech-o-tab nahin teri ye zulf jise pech-o-kham ziyaada hai tu khub jaanta hai yar-e-be-niyaz ki ab junun bahut hai mujhe phir bhi kam ziyaada hai