mere liye wajud ka dariya sarab tha nakaamiyon ke bab mein main kaamyab tha bakhshe hain mujh ko phul mohabbat ki aag ne mere liye sukun ka sabab iztirab tha main ne safed lafz likhe aur sach likhe meri sadaqaton ka bayan be-khizab tha isyan shumar the jo farishte wo thak gae ek fard-e-sad-gunah se main be-hisab tha kya mujh se intikhab ki karta hai aarzu main to nigah-e-sher ka khud intikhab tha hijr-o-visal khatm hue thik hai ye khel tujh ko bhi nagawar mujhe bhi azab tha be-dagh kah raha hai jo apne jamal ko kal shab meri baghal mein yahi aaftab tha meri kitab rasm-e-jahan hai wagarna main wo sahib-e-kitab hun jo be-kitab tha 'sahba' mere wajud pe har mai-kade se dur chhaya tha wo surur ki pani sharab tha