tere gham ka tadaruk kiya to hamein sharm aa jaegi aur mar jaenge khwab-awar dawa hum ne le li to phir nind ke kizb se zakhm bhar jaenge saaten be-sabaati ki aulad hain aur sayyaad hain is liye aao hum waqt ko tod den warna sab kaam ki raaten dhal jaengi din guzar jaenge tum yunhi ishq ke zor par khud ko rakkhe raho aur hanste sanwarte raho dekhna ek din hum kisi mod par apne ham-zad ko zer kar jaenge ranjishen dil mein rakhna buri baat hai kyun na phir ibtida se mohabbat karen aao pahle sanwaren shab-e-gham ko hum waqt hoga to khud bhi sanwar jaenge ye koi baat hai utni phaili hui zindagi mein faqat ek tera intizar muntazir to tere hum rahenge magar kaise kaise hamare safar jaenge ajnabi-pan ki lau se nikalti hui aashnai ki larzan tapish aur hum aisa lagta hai goya jhijhakte hue dusre khwab mein phir utar jaenge kar-e-duniya karen kuchh adawat to ho tuk tabiat badalne ki surat to ho hum agar khud se ladte-jhagadte rahe zindagi ke anasir bikhar jaenge pahle to shahr mein itne raste na the itni galiyan na thin mod itne na the hum akele khade hain pareshan hain aur aage badhe to kidhar jaenge phir achanak hi hum umr ke na-tawan hath mein aaina dekh kar ro pade aaj tak bas yahi soch kar khush rahe wo bulaega hum us ke ghar jaenge