mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho

mere mahbub tum ho yar tum ho dil-ruba tum ho
ye sab kuchh ho magar main kah nahin sakta ki kya tum ho

tumhaare nam se sab log mujh ko jaan jate hain
main wo khoi hui ek chiz hun jis ka pata tum ho

mohabbat ko hamari ek zamana ho gaya lekin
na tum samjhe ki kya main hun na main samjha ki kya tum ho

hamare dil ko bahr-e-gham ki kya taqat jo le baithe
wo kashti dub kab sakti hai jis ke na-khuda tum ho

bichhadna bhi tumhaara jite-ji ki maut hai goya
use kya khak lutf-e-zindagi jis se juda tum ho

musibat ka talluq hum se kuchh bhi ho to rahat hai
mere dil ko khuda wo dard de jis ki dawa tum ho

kahin is phute-munh se bewafa ka lafz nikla tha
bas ab tanon pe tane hain ki be-shak ba-wafa tum ho

qayamat aaegi ya aa gai is ki shikayat kya
qayamat kyun na ho jab fitna-e-roz-e-jaza tum ho

ulajh padne mein kakul ho bigadne mein muqaddar ho
palatne mein zamana ho badalne mein hawa tum ho

wo kahte hain ye sari bewafai hai mohabbat ki
na 'muztar' be-wafa main hun na 'muztar' be-wafa tum ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close