karun na yaad magar kis tarah bhulaun use

karun na yaad magar kis tarah bhulaun use
ghazal bahana karun aur gungunaun use

wo khar khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm zakhm hun phir bhi gale lagaun use

ye log tazkire karte hain apne logon ke
main kaise baat karun ab kahan se laun use

magar wo zud-faramosh zud-ranj bhi hai
ki ruth jae agar yaad kuchh dilaun use

wahi jo daulat-e-dil hai wahi jo rahat-e-jaan
tumhaari baat pe ai naseho ganwaun use

jo ham-safar sar-e-manzil bichhad raha hai 'faraaz'
ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close