mere mitne pe gar tu bhi mita hota to kya hota tujhe bhi sabr ai dil aa gaya hota to kya hota chale aate hain lakhon sarfaroshi ki tamanna mein tera kucha agar darushshifa hota to kya hota adam se main na aata is jahan mein gham uthane ko agar hasti mujhe tera pata hota to kya hota tujhi pe munsifi hai le tu hi insaf se kah de agar teri tarah main bewafa hota to kya hota sitare kyun dikhati mujh ko din bhar meri nakaami wo shab ko mal ke afshan aa gaya hota to kya hota sar-e-shorida ko main pattharon se phodta phirta but-e-kafir jo tu mera khuda hota to kya hota sabaat us ko nahin phir bhi fida hai hazrat-e-insan jo ye dar-e-fana dar-e-baqa hota to kya hota kisi ke pas rah kar bhi tadapte hijr mein 'nadir' hamein jannat mein bhi kuchh aasra hota to kya hota