aks ko qaid ki parchhain ko zanjir karen saat-e-hijr tujhe kaise jahangir karen panw ke niche koi shai hai zamin ki surat chand din aur isi wahm ki tashhir karen shahr-e-ummid haqiqat mein nahin ban sakta to chalo us ko tasawwur hi mein tamir karen ab to le de ke yahi kaam hai in aankhon ka jin ko dekha nahin un khwabon ki tabir karen hum mein jurat ki kami kal ki tarah aaj bhi hai tishnagi kis ke labon par tujhe tahrir karen umr ka baqi safar karna hai is shart ke sath dhup dekhen to ise sae se tabir karen