mere muqaddar mein jo likha tha nasib se wo pahunch na paya

mere muqaddar mein jo likha tha nasib se wo pahunch na paya
gira to tha aasman se kuchh khajur mein rah gaya atak kar

musibat aa to gai thi lekin hui wo aap ulte panw rukhsat
laga jo tha zindagi ka kanta nikal gaya chaar din khatak kar

wahan hain ab hum ki kya bataen wo pech-o-kham hain ki kuchh na puchho
ye chaal rah-e-talab ki dekho ki chal rahi hai matak matak kar

ye kaisi wahshat-asar khabar hai pata to ai baghban lagana
khade hue kan kyun gulon ke kali ne kya kah diya chatak kar

kiya jo dar dar ke arz-e-matlab to mujh se ye kah diya unhon ne
sabaq nahin yaad abhi ye tum ko suna rahe ho atak atak kar

khud apna rasta sudhaar 'natiq' na fikr kar shaikh-o-barahman ki
wahin to jate hain raste sab koi kahan jaega bhatak kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close