mujh se afsurda na ai josh-e-bahaaran hona kaif mein bhul gaya chaak-gareban hona jab bikhar jati hai zulf aur nikhar jati hai mujh ko jamiyat-e-khatir hai pareshan hona zarra zarra hai tajalli se ladae hue aankh kis qayamat ki numaish hai ye pinhan hona dur hain tujh se abhi nur ke zarre har-su ai meri khak zara aur pareshan hona hasrat-e-did ne aaina banaya dil ko ain nazzara hai nazzare ka arman hona husn har shai ko diya ishq mila har dil ko taki aasan ho insan ka insan hona khub hota hai numayan sukhan-e-'natiq' se misl-e-mani tera har lafz mein pinhan hona