mere na hoiye mujhe apna na kijiye lekin mazaq-e-husn ko ruswa na kijiye dil to ye kah raha hai ki un se gila karun ghairat ye kah rahi he ki shikwa na kijiye tutega nafs ka ye tasalsul khabar nahin chalti hui hawa ka bharosa na kijiye zalim se gulsitan ko bachana zarur hai kuchh gul masal gae hain to parwa na kijiye hai aaj tez dhup mein himmat ka imtihan is waqt aap zulf ka saya na kijiye 'mazhar' wo but-kada ho kalisa ho ya haram jab tak na dil jhuke kahin sajda na kijiye