mere naseh mujhe samjha rahe hain fariza hai ada farma rahe hain dhuan uthta hai ek ek mu-e-tan se saza apne kiye ki pa hai hain tilism-e-hasti-e-fani dikha kar abhi kuchh der wo bhula rahe hain jahan se kal hamein aana pada tha wahin majbur ho kar ja rahe hain dikha denge 'aziz' anjam-e-duniya abhi to khair dhoka kha rahe hain