kyun na ho shauq tere dar pe jabin-sai ka us mein jauhar hai meri aaina-simai ka tur kushta hai usi naz-e-khud-arai ka barq ki lahr hai naqsha teri angdai ka ishq ek tabsira hai husn ki ranai par husn ek falsafa hai ishq ki ruswai ka aaj ek khak ka zarra bhi nahin baqi hai dil-e-barbaad ye hasil hai khud-arai ka yaad-e-ayyam ki thi lab pe mere mohar-e-sukut ab to matam hai bapa dil mein shakebai ka mauj-dar-mauj rawan baada-e-sar-josh-e-shabab aalam-e-kaif hai aalam teri angdai ka hasrat-o-yas ka amboh magar main bekas aise majmea mein ye aalam meri tanhai ka tirgi sham-e-lahad ki hai bhayanak lekin hai ye utra hua jama shab-e-tanhai ka jazr-o-mad husn ke dariya mein nazar aata hai qabil-e-did hai aalam teri angdai ka tere didar se mahrum rahin jab aankhen koi masraf hi nahin phir meri binai ka aalam-e-gor-e-ghariban ka ye ghamnak sukut ek namuna hai mere dil ki shakebai ka nind un ki agar ud jae to kuchh dur nahin so gaya jagne wala shab-e-tanhai ka sher dilkash ho agar safha-e-kaghaz pe 'aziz' ek muraqqa hai kamal-e-sukhan-arai ka