mere nikah se pahle ye baat likh dena tum apne mehr mein meri hayat likh dena meri tamanna hai ho jaun tum se main mansub tum apna nam mere sath sath likh dena saza mile na tumhein jurm-e-bewafai ki har ek jurm mein tum mera hath likh dena wo jis ka koi nahin aur kya likhoge use tum aisa karna mera dil anath likh dena tumhaare tajrabe duniya ke kaam aaenge 'hilal' ishq ke sab tajrabaat likh dena