mizaj dard ka KHugar isi liye to hai

mizaj dard ka khugar isi liye to hai
gham-e-firaq muqaddar isi liye to hai

tujhe khabar thi mera dil hai aaina jaisa
ye guftugu teri patthar isi liye to hai

panah le na saka jo khuda ke ghar mein kabhi
zamane bhar mein wo be-ghar isi liye to hai

tumhein to dost banane ka shauq tha hi bahut
tumhaari pith mein khanjar isi liye to hai

tumhaari yaad ke baadal baras rahe hain yahan
ye aansuon ka samundar isi liye to hai

tumhaari nasl ki haalat bigadne wali hai
tumhaare hath mein saghar isi liye to hai

unhen batao buzurgon ka hai karam us par
'hilal' achchha sukhanwar isi liye to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close