mere nuqush tere zehn se mita dega mera safar hi mere fasle badha dega andheri raat hai is tund-khu se mat kahna wo raushni ke liye apna ghar jala dega main us ka sab se hun pyara magar bichhadte hi wo sab ko yaad karega mujhe bhula dega bana hua hun main mujrim baghair jurm kiye ab aur kya mera munsif mujhe saza dega ugaya jis ne hai banjar zamin mein tujh ko 'nasim' hai kya baid ki wo phul bhi khila dega