nigah-e-ishq mein tabindagi nahin milti charagh-e-husn se ab raushni nahin milti sar-e-niyaz jhukaega kya koi khuddar nigah-e-naz se jab dad hi nahin milti sharik-e-dard-e-mohabbat koi nahin hota kisi se dad-e-mohabbat kabhi nahin milti nigah-e-saqi-e-raana ka ye bhi ehsan hai ba-qadr-e-zauq mai-e-agahi nahin milti ye mai-kada hai yahan qaid-e-zarf-e-zauq bhi hai ye kya kaha ki mai-e-zindagi nahin milti ziya-e-husn hai mahdud bazm-e-imkan tak phir is ke baad kahin raushni nahin milti baja hai aap ka irshad manta hun main kalam-e-'raaz' mein ab zindagi nahin milti