mere pahlu se jo nikle wo meri jaan ho kar rah gaya shauq dil-e-zar mein arman ho kar zist do roza hai hans-khel ke kato is ko gul ne ye raaz bataya mujhe khandan ho kar ashk-e-shadi hai ye kuchh muzhda saba lai hai shabnam-aluda hua phul jo khandan ho kar zarra-e-wadi-e-ulfat pe munasib hai nigah falak-e-husn pe khurshid-e-darakhshan ho kar shokhiyan us nigah-e-zer-e-mizha ki mat puchh dil-e-ashiq mein khubi jati hai paikan ho kar shiddat-e-shauq-e-shahadat ka kahun kya aalam tegh-e-qatil padi sar pe mere ehsan ho kar ab to wo khabt mere ishq ko kah kar dekhen khud hi aaine ko takne lage hairan ho kar