dukh to dukh the jo idhar bahr-e-aman aa nikle aap is dil ke kharabe mein kahan aa nikle ek zara nikle to aawaz daba den apni kya karen chup ka agar us ki zaban aa nikle jaane kab qahqahe rona paden ahbab ke sath jaane atraf mein kab shahr-e-fughan aa nikle kuchh to dil-jui chale dhup-numa khwahish ki dasht mein tazkira-e-abr-e-rawan aa nikle mere qadmon se kare junhi masafat aaghaz zad-e-rah mein se usi waqt ziyan aa nikle dekhte dekhte suraj ka lahu sham hui shab ke aalam the jitne bhi ba-jaan aa nikle apne sahra se bandhe pyas ke mare hue hum muntazir hain ki idhar koi kuan aa nikle kya main phir bhi na karun aag sulagne ka guman jab meri sans ki nali mein dhuan aa nikle aaine bech ke ab chalte bano 'khawar' tum is se pahle ki koi sang-e-giran aa nikle