mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai kyunki wo parda-nashin shoala-e-fanusi hai saqiya dast-e-nigarin se tere mina mein hum jo karte hain nazar jalwa-e-tausi hai jam-e-labrez chahakta hai yad-e-baiza sa yar ke hath mein kya moajaza-e-musi hai marti us gul pe hai bikta hai jo kaudi kaudi tujh pe marti nahin bulbul bhi kuchh ullu si hai ai sanam nala o afghan se mere sham o sahar dil ke but-khane mein ab naghma-e-naqusi hai dasht mein chal ki har ek khar-e-bayaban ko 'nisar' jun hina kab se tamanna-e-qadam-bosi hai