mere pichhe ye to muhaal hai ki zamana garm-e-safar na ho

mere pichhe ye to muhaal hai ki zamana garm-e-safar na ho
ki nahin mera koi naqsh-e-pa jo charagh-e-rahguzar na ho

rukh-e-tegh se jo na ho kabhi sahar aisi koi nahin meri
nahin aisi ek bhi sham jo tah-e-zulf-e-dar basar na ho

mere hath hain to lunga khud main ab apna saqi-e-mai-kada
khum-e-ghair se to khuda kare lab-e-jam bhi mera tar na ho

main hazar shakl badal chuka chaman-e-jahan mein sun ai saba
ki jo phul hai tere hath mein ye mera hi lakht-e-jigar na ho

jinhen sab samajhte hain mehr o mah na hon sirf chand nuqush-e-pa
jise kahte hain kurra-e-zamin faqat ek sang-e-safar na ho

tere pa zamin pe ruke ruke tera sar falak pe jhuka jhuka
koi tujh se bhi hai azim-tar yahi wahm tujh ko magar na ho

shab-e-zulm nargha-e-rahzan se pukarta hai koi mujhe
main faraaz-e-dar se dekh lun kahin karwan-e-sahar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close