tilism-e-halqa-e-sayyargan mein kya rahna kisi ki saltanat-e-be-aman mein kya rahna alag jalaya hai apna charagh is khatir tamam-umr saf-e-dostan mein kya rahna na-jaane chhin le kab hum se shah ka kirdar fareb-e-umr teri dastan mein kya rahna ye waqt lamha-e-maujud ka tasalsul hai malal-e-khwahish-e-aindagan mein kya rahna agar wo khurram-o-abaad hai to phir 'shahzad' hamein bhi ab kisi kar-e-ziyan mein kya rahna