mere qalam mein the zinda mere bayan mein the

mere qalam mein the zinda mere bayan mein the
wo harf harf mere dil ki dastan mein the

unhen nigal gai gumnamiyon ki tariki
zamin ke log jo shohrat ke aasman mein the

hamari naw ko tufan se bacha lae
tumhaari yaad ke jhonke jo baadban mein the

unhen bhi dard ki footpath par pade paya
jo ranj-o-gham se pare pur-sukun makan mein the

kabhi na shikwa kiya hum ne kam-nasibi ka
sitare apne muqaddar ke aasman mein the

koi jawab nahin jin ka is samaj ke pas
sawal aise bhi bachchon ke imtihan mein the

rakhe the mere liye waqt ne jo tarkash mein
wo sare tir sitamgar teri kaman mein the

jahan pe ruh-e-muqaddas ki jalwa-gahen hain
hamari fikr ke panchhi wahan udan mein the

tamam umr kadi dhup chhu nahin pai
ki hum kisi ki mohabbat ke saeban mein the

kabhi na shauq-e-safar kam hua mera ai 'shauq'
nae safar ke irade meri thakan mein the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close