mere rog ka na malal kar mere chaara-gar main bada hua use pal kar mere chaara-gar sabhi dard chun mere jism se kisi ism se mera ang ang bahaal kar mere chaara-gar mujhe si de sozan-e-dard rishta-e-zard se mujhe zabt-e-gham se bahaal kar mere chaara-gar mujhe chir nashtar-e-ishq soz-e-sarishk se mera indimal-e-muhaal kar mere chaara-gar ye badan ke aarzi ghaw hain unhen chhod de mere zakhm-e-dil ka khayal kar mere chaara-gar faqat ek qatra-e-ashk mera ilaj hai mujhe mubtala-e-malal kar mere chaara-gar mein jahan dard mein kho gaya tujhe kya mila mujhe imtihan mein dal kar mere chaara-gar mujhe apne zakhm ki khud bhi koi khabar nahin so na mujh se koi sawal kar mere chaara-gar tera haal dekh ke roega tera chaara-gar mera dil na dekh nikal kar mere chaara-gar