fasiq jo agar aashiq-e-diwana hua to kya duniya ke matalib ko farzana hua to kya ghaflat mein koi pad kar gar umr ko kho dale baad is ke agar samjha phir syana hua to kya ye umr ghanimat hai jo dam ki guzarta hai gar khana hua to kya virana hua to kya nazzara to kar ai dil ho shan mein dilbar ka gar bhuka jo tal jawe phir khana hua to kya de jam talattuf se saqi ba-lab-e-tishna dil pyas se jab kumla paimana hua to kya hai kaam sute matlab bar aawe kisi dhab se kaba jo hua to kya but-khana hua to kya jo mard-e-yagana hai nafs apne se ladta hai gar aur tarah koi mardana hua to kya uljha hai ye dil pyare zulf apni ko suljhawe jab mar gae jaani hum phir shana hua to kya mukhde ki jhamak sajan tuk hum ko bhi dikhlao gar aage raqibon ke jhamkana hua to kya gar sair mayassar ho tujh husn ke baghistan baad is ke agar mujh ko mar jaana hua to kya dil apne begane se kuchh hum ne na phal paya gar apna hua to kya begana hua to kya kahta tha main is dil ko aashiq to nahin hona ab bas ke agar samjha pachhtana hua to kya mastana hamesha raho ai aashiq-e-'afridi' be-ishq agar koi mardana hua to kya