mere ruKHsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga

mere rukhsar par aansu ka qatra ruk gaya hoga
kisi ka ek hasin chehra bahut dhundla gaya hoga

na jaane kis tarah se kar liya apna asir us ne
hamare sath chal kar dur tak wo aa gaya hoga

samundar ki hasin lahren kinare par ruken jaise
wo aise hi meri dahliz par aa kar ruka hoga

mere ashaar ke lafzon ko koi chhu na paega
ki wo ek lafz mere lab pe aa kar ruk gaya hoga

tadap jate hain is mitti ki khushbu se kabhi hum to
hai is dharti ka koi qarz jo yaad aa gaya hoga

ye unche unche parbat dur tak phaile hue sae
ye manzar apni yaadon mein zamanon tak raha hoga

kisi manzil pe to shayad bahaaren aa gai hongi
koi to rasta hoga jo phulon se saja hoga

kisi man ke liye kitni kathin wo ek ghadi hogi
kisi bachche ka khun jis waqt mitti par baha hoga

kisi ki yaad ki parchhaiyan to sath rahti hain
ye mana wo samay ki dhund mein gum ho gaya hoga

safar kitna hasin ho 'naz' khwabon ka khayalon ka
magar ye silsila phir tut kar bikhra hua hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close