mere sang-e-mazar par farhad

mere sang-e-mazar par farhad
rakh ke tesha kahe hai ya ustad

hum se bin marg kya juda ho malal
jaan ke sath hai dil-e-nashad

mund aankhen safar adam ka kar
bas hai dekha na aalam-e-ijad

fikr-e-tamir mein na rah munim
zindagani ki kuchh bhi hai buniyaad

khak bhi sar pe dalne ko nahin
kis kharabe mein hum hue aabaad

sunte ho tuk suno ki phir mujh baad
na sunoge ye nala o fariyaad

lagti hai kuchh sumum si to nasim
khak kis diljale ki barbaad

bhula jae hai gham-e-butan mein ji
gharaz aata hai phir khuda hi yaad

tere qaid-e-qafas ka kya shikwa
nale apne se apne se fariyaad

har taraf hain asir ham-awaz
bagh hai ghar tera to ai sayyaad

hum ko marna ye hai ki kab hon kahin
apni qaid-e-hayat se aazad

aisa wo shokh hai ki uthte subh
jaana so jae us ki hai mo'tad

nahin surat-pazir naqsh us ka
yun hi tasdiq khinche hai bahzad

khub hai khak se buzurgon ki
chahna to mere tain imdad

par murawwat kahan ki hai ai 'mir'
tu hi mujh diljale ko kar irshad

na-muradi ho jis pe parwana
wo jalata phire charagh-e-murad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close